Contributor

SAWAL:- Ek Musalman kisi Gair-Muslim ke saath kaise Bhaai-Chaara rakh sakta hai?, Jabki Quran mein use Kafir yaani Gair-Muslim se dosti naa karne aur usse Jihaad karne ka Aadesh Mila hai?

 

JAWAB:- Dosto, jo Gair-Muslim Ishwar bhakt Musalmano se nahi Ladte aur unke liye buri saazishe nahi karte, balki unke saath Shaanti se rehna chahte hai, Un Gair-Muslimo ke liye Liye Qur’aan ka saaf Aadesh dekhiye-👇🏻

 

“Jo Log tumse tumhare dharm ke baare mein nahi Ladte aur naa tumhe gharo se nikaalte hai, un Logo (Gair-Muslimo) ke saath acha bartaav karne aur unke saath insaaf se pesh aane se khuda tumhe mana nahi karta, Beshaq Khuda insaaf karne walo ko dost rakhta hai”

 (surah: mumtahana 60:8)

 

Dosto, Qur’aan ki yeh ek aayat hi aitraaz karne walo ke jawaab mein bahut hai, lekin aitraaz karne wale keh sakte hai Ki-👇🏻

 

“Kya Paigambar Mohammed (S.A.W.) aur unke Anuyayi/sahaba (Disciple) ne is aayat ka paalan kiya hai?”

 

Jii haa, Nabi aur unke sahabao ki puri zindagi hi gair-muslimo ke saath bhalayi karte huve beeti hai. Jung to unhone sirf Zaalimo se kiye hai aur zyadatar to unhe bhi maaf hi kiya hai. Aayye iske kuch namune (examples) aapke saamne rakhte hai.

 

1) Ek din Nabi ne dekha ki ek Gair-Muslim gulaam Aata pees raha hai aur dard se tadap raha hai, Aap uske paas gaye to pata chala ki woh bahut bimaar hai aur uska Maalik use chutti nhi deta. Nabi ne usko Aaram se Lita diya aur saara Aata khud pees diya aur kaha, “Jab tumhe Aata peesna ho to muje bula Liya karo.”

(Sahih Adbul Mufrad: 1425)

 

2) Ek dehati (villager) ne Masjid mein peshaab (urine) kar diya, Log use peetne ke liye bhaage, to Nabi ne unko rok kar kaha- “ise chod do (Leave him) aur uske peshaab par paani daaldo isliye ki tum sakhti karne wale nahi, Aasaani karne wale banakar bheje gaye ho.”

(Sahih Bukhari, kitabul wuzu)

 

3) Ek baar Nabi ke 1 Sahabi (Disciple) kisi baat par apne Gair-Muslim gulaam ko maar rahe the, usi waqt Nabi ki nazar pad gayi to dukhi hokar kaha: “jitna Adhikaar (right) tumhe is gulaam par hai, ALLAH ko tum par isse zyada Adhikaar hai. Itna sunkar woh Sahabi dar kar bole, Ae Nabi, Mai is gulaam ko aazaad kardeta hu, to Nabi ne kaha: “Agar tum aisa naa karte to Jahannum ki aag (Hell fire) tumko zaroor chuti/touch karti.”

(Abu Dawood, kitabul Adab)

 

Nabi ne kabhi kisi Gair-Muslim par zulm nahi hone diya, Hamesha insaaf se kaam Lete the.

 

4) Ek baar ek Gair-Muslim ka ek Musalman se jagda ho gaya, to Faisle (judgement) ke liye dono log Nabi ke paas aaye, Dono ke bayaan sunkar Nabi ne faisla Gair-Muslim ke haq mein diya.

 

5) Paigambar Mohammed (S.A.W.) gair-muslimo ke tohfe (gifts) bhi kabool karte the aur unko tohfe bhi dete the. Aela ke Haakim ne aapko ek white chaadar tohfe mein diya, Aapne use Kabool kiya aur uski taraf  ek chaadar bhej di.

(Sahih bhukhari, Kitaabuzzakat)

 

6) Isaaiyo/Christians ka ek pratinidhi mandal / zimmedaar hazraat (Representative board) Madina aaya to Nabi ne unki khoob Mehmaan nawazi ki aur unko Masjid mein rukwaya aur saath hi Masjid mein unhe unke apne Tarike par ibaadat karne ki anumati (permission) bhi di”

(Sahi Muslim, Kitabul Adab)

 (Al-bidaya wainnahaya, part-3, page no. 105)

 

Nabi ka aadesh tha ki “woh Muslim nhi ho sakta jo khud pet bhar kar khaaye aur uska padosi (Muslim yaa Gair-Muslim) bhuka rahe.”

(Sahih Adbul Mufrad 82)

 

Islamic desho mein rehne wale Gair-muslimo ko Islam ki paribhasha (definition) mein “JIMMI” kaha jaata hai aur Musalmano ko Nabi sahab ka saaf Aadesh hai-👇🏻

 

“Jisne kisi Jimmi (Gair-Muslim) par zulm kiya, uska Haq maara, uski Taaqat se zyada uspar Boj (burden) daala yaa uski iccha (desire) ke bina uski koi cheez leli to mai Qayamat ke din uski taraf se Dawa karunga.

(Abu Dawood, behqi part-5, page no. 205)

 

Ek Musalman ne ek Jimmi ka Qatl (murder) kar diya, to Hazrat Umar (r.z.) ne apne ek governor ko aadesh diya ki us musalman ko us Jimmi ke karibi rishtedaar (close relatives) ke saamne Le jaao fir chaahe to woh use maaf karde yaa Jaan se maarde aur us Rishtedaar ne us Musalman ki gardan kaat di.

 

Dosto, yeh tha Paigambar Mohammed Sahab ka insaaf aur unhi ki tarah unke Sahaba (Disciple) bhi Jimmi (gair-muslimo) ki izzat, aabru, Maal, daulat aur Dharmik swatantra (Religious freedom) ka bada dhyaan rakhte the.

 

“Alag-alag jagaho se aane wale zimmedaro se Hazrat Umar (r.z.) unke Khilaafat (ruling) ke daur mein pucha karte the ki kisi Musalman ki wajah se  kisi Jimmi (Gair-Muslim) ko nuksaan to nahi diya jaata.”

(Tarikhe Tabri, part-4, page 218)

 

 

Hazrat Khalid bin Walid (r.z.) ne Aanaat ke rehne walo ke saath jo samjauta (agreement) kiya tha us mein yeh bhi shaamil tha-

“Namaaz ke waqt ke alawa woh log raat-din jab chaahe shankh (shell) baja sakte hai aur jashn (celebrations) ke dino mein salibe gasht (Jesus-cross ka Tawaaf) kar sakte hai.”

(kitabul khiraaj page no.  146)

 

Yeh kuch udaaharan (examples) hai ki, ISLAM ke anusaar Musalmano ko Gair-Muslim bhai-behno ke saath acha bartaav karne aur unke saath insaaf se pesh aane ka Aadesh hai.

Ab Aitraaz karne wale keh sakte hai ki,

 

“Islam mein Gair-Muslim ko dost banane se mana kiya hai aur Muslim sirf Muslimo se dosti kar sakte hai”

(Qur’aan 3:28, 9:23, 3:118)

 

Uska jawaab yeh hai ki, Gair-Muslim mein sirf un Logo se dosti karne ko mana kiya gaya hai jo Musalmano ka barbaadi chahte hai aur Islam ka mazaak udaate hai, Dekhiye-👇🏻

“Aee Imaanwalo, jisne tumhare dharm ko hasi-khel bana Liya hai, unhe dost naa banao”

(surah: Maaida 5:57)

 

“ALLAH to tumhe sirf un Logo se Dosti karne se rokta hai jinhone dharm ke Maamle mein tumse jung kiya aur tumhare apne gharo se nikaala yaa tumhe nikaalne mein Zaalimo ki madad ki.”

(Surah: Mumtahana 60:9)

 

Dosto, agar koy insaan Aapke dharm ko bura kahe, Aapke Bhagwan/Devtao/Ishwar ko Gaaliya de aur aapki barbaadi ke liye koshish kare to kya aise shaks se aap dosti karoge?

 

Saath hi ek saazish ke tahet yeh batane ki koshish ki jaati hai ki Muslim Qaum Duniya mein kabhi kisi ke saath shaanti se nahi rahi, jo ki  saaf jhoot baat hai, zyada piche jaane ki zaroorat nahi balki aaj bhi Imaandar Secular log yeh jaante hai ki Duniya bhar mein bahut se Muslim desh aise hai jin mein barso se Gair-Muslim badi shaanti aur Aaraam se reh rahe hai, balki Aakde (figures) to yeh batate hai ki har saal in Muslim desho mein jaane aur wahi basne walo ki sankhya (population) badti jaa rahi hai.

 

Qatar, Quwait, Oman, Dubai, Behrain jaise bahot se Arab desho ko chod kar Malaysia mein 61.3% muslim hai jo baaki 39% gair-muslimo ke saath shaanti se reh rahe hai. Yahi position Indonesia ki bhi hai.

 

Singapore jaise bahut se desh hai jaha Islam doosra yaa teesra majority Religion hai aur in sabhi desho mein sadiyo se Muslim qaum  Gair-Muslimo ke saath shaanti se reh rahi hai.

 

Aur Aakhir mein Mohammed Sahab ki yeh aam shiksha (teachings) har Muslim aur Gair-Muslim ke liye hai ki,👇🏻

“Tum zameen walo par rehem, Meherbaani karo,  Aasmaan wala tumpar Rehem, Meherbaani karega.”

(Abu Dawood, kitabul Adab)

1 Comment
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
MuslimSearch
Moderator
MuslimSearch

Bahut Khoob Jawab

Jazak Allah Khair